PAKIZGI ROHANIYAT AUR NOORANIYAT KA HASOOL:
________________________________________________________________
Humein koi amal parte waqt tart e haywanat ki zaroorayt q parti hai? sirf isi liye hum apne ander pakizgi, rohaniyat o
nooraniyat paida karein.tamam mukal noori hain aur hum khaki phir jab tak humare ander noraniyat na hogi.,wo kase hum se manos
ho sakhte hain.hum ,humari ghaza humare afhal aur amal balke humari puri zindagi gunah o galazat aur najahez galatkarioun ki
kichar se luthri hoi aur gardo gubar se aloda hai.jab tak humare her kam main neyat theek na ho,humare amliyat muser kase ho
sakhte hain.amil k liye her tarah se paband sharah muqati o pareezgar hona shirt e awal hai.is k bad koi b amal parein.is ka isar
hoga.jase batton dabane se bijli jal uthti hai.her musalman k liye sab se pehly moman saleh banna,awalen farz hai,phir amal parne k
liye is ki jumla shiryat puri karna hain.taraq e hewanat 2 tarah k hain (1) pareez jamali (2) pareez jalali.
PAREEZ JAMALI:
____________________
Ghost ,machli ,sirka ,peyaz ,lehsan, anda ,muli,hang, amber, chohara, dahi aur methai wagara ka pareez karein .mewa
,sarsoon ,aur till ka teil istemal kar sakhte hain.magher jab k is ki paki main zara barabar ka shuba na ho.
PAREEZ JALALI:
_____________________
Agher teil istemal karna chain tu teili se tillon ka ya sarsoon ka apne samne nikalwain,pan khane tak ko mana kia gya hai.
koi bhi nashe ki cheez huqa,cigrate, bari ka istemal na karein, chamre k dol se pani na pein,darya nadi ka pani matti k bartan main
layain,chamre ka jota aur muze ka istemal bhi na karein,khat na banwaein,nakhun na katein,jamah na karein,her waqt ba wazoo
rahein,agher taqat ho tu roza rakhein.agher koi khedmat gar bhi pass ho tu wo bhi pareezgar ,nemazi ho.kapra bagar sela
pehanein,ye bhi khyal rakhein k khoon jisam k kisi bhi hise se bahir na nikale,ur wo darakt jis k pate se dhood nikalta ho na
toorein,phool,shak ,aur mewe apne hath se na toorein,albata wo bal jin ka katna sunat hai,jase k lab,bagal wagara k bal.hathi aur
ghore ki sawari na karein.
Email: SyedGhulamAbbasSherazi@gmail.com
Cell: 03007077709 Whatsapp Avail
Syed Ghulam Abbas
Cell: 03007077709 Whatsapp Avail
Syed Ghulam Abbas
No comments:
Post a Comment